donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hain ab is fikr me doobe hue ham *
hain ab is fikr me doobe hue ham
use kaise lage rote hue ham
 
koi dekhe na dekhe saal ha saal
hifazat se magar rakhkhe hue ham
 
na jane koun si duniya mein gum hain
kisi bemaar ki sunte hue ham
 
rahe jiski masihaye me ab tak
usi ke charagar hote hue ham
 
gara,n thi saaye ki moujoodgi bhi
ab apne aap se sehme hue ham
 
kahan hain khwaab mein dekhe jazire
nikal aaye kidhar behte hue ham
 
badhin nazdikiyan is darja khud se
ki ab uska badal hote hue ham
 
rakhein kyunkar hisab ek eik pal ka
bala se roz kam hote hue ham
 
bahut himmat ka hai ye kaam shariq
ki sharmate nahi darrte hue ham....shariq kaifi
********
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363