donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MAGAR YE DAOO HUMKO KHELNA HAI...A NAZM *
Nishana chookna
yaani nishane par kisi ke aa gaye hum
bada to hai magar ye daao humko khelna hai
ki hum oobe hue log
kisi lamhe ke khalipan ko bharne ke liye
kisi hadd tak bhi jaa sakte hain shayad
abhi ye sochne ka waqt kisko hai
wo goli jo kisi ke kaan ko chookar guzarti hai
kahin ek ched kar deti hai us haale me 
jisko khoff kehte hain
aur jisse mout ka darr
chann ke beh jaata hai bahar rooh se
kisi bhi khoff se khaali ye roohein
kaise kaise gul khilayengi hamein ye bhi pata hai
ye shayad khudkushi hai
magar hum bhi karein kya
ki marne tak ki ye jeene ki majboori 
to apne sath bhi hai...shariq kaifi
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 360