donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* IBADAT KA SACH *
ibadat jaankar
bahut chakkar lagaye aspatalon ke
bahut khidmat guzari ki hai beemaron ki lekin
junu ab bujh raha hai
mai ab thakne laga hun
thakan ab is qadar haawi hai mujhpar
k wo stool mere khwaab me aane laga hai
sahara de ke baithata hun mai jis par
mareezon ko barabar doctor ke
ye kaam ab doosron par chodh dun
waseela ban ke khud
sawab unko bhi thoda lootne dun
jinhe jannat me mere saath hona chahiye
sahara de ke mujhko layenge jo aspatalon me
meri jaanib se bolenge
mera parcha lagayenge
tasalli de ke mujhko chain se cigarette jalayenge
aur agar qismat hui achchi to mumkin hai
wo nazuk sanwli si nurse
jisko dekhkar mai is ibadat ki taraf raaghib hua tha
unke haath aa jaaye shayad
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 350