* baat sunkar meri wo hansa *
baat sunkar meri wo hansa
to mujhe bhi laga baat hansne ki hai
khair achcha hua
warna mai zindagi bhar kisi jhoot ko jeeta rehta
magar koun saa jhoot
wo rona tadapna mera waqai jhoot tha kya?
to phir kis nateeje pa pahuncha hun mai?
sirf itna hi shayad
ki mai aaj ye jaanta hun
kisi ko samajhne parakhne ka koi wazeefa nahi
bas wohi baat jo
lab talak aa na paaye
lateefa nahi....
******* |