donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* faqat hisse ki khatir *
faqat hisse ki khatir
kat gaye ye zindgi meelad sunne mein
bila jane ki hissa hai to kaisa aur kitna
ye sab aasa nahi tha
gulaab aur itr se bhari fizaa me
saans lena dair tak aasa nahin tha
na aasa tha samajhne ki adakari bhi karna
us zuba ko
jisse mai naa aashna tha
aur wo bhi ba adab rehkar
bahut bhari tha baile ka wo gajra
jo pehnaaya gaya tha mujhko pehli saf me baithane se pehle
haan
saza jaisa tha mera baithna us saf me
jismein eik bhi bachcha nahi tha
aur jahan se door thin sab chilmanein
aur unse chanti rounaquein
ye sab qurbaniyan dekar
agar hisse ki khwahish hai mujhe to kya ghalat hai
mere hisse ki khwahish par hanson mat
na kuch samjhao mujhko
mujhe maaloom hai
jo is pandaal ke bahar hain
unki bhi nazar hisse hi par hai
han alag pandal ho sakte hain unke
khuda ka shukr mai meelad ke pandaal me hun
mera hissa to pakka hai agar mai soo bhi jaon
khuda ko sab pata hai
khuda ko sab pata hai.......shariq kaifi
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 328