donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BARAT KA GHODA...A NAZM *
khuda
toone mujhe ghoda banaya to
magar baraat ka
jiske aage nachte rehte hain log
note danton mein dabaye
kya nazar mein hain teri wo zulm
jo mujhpar hue hain is karam ki aadh mein
race ke maidan ke badle
kisi mandap talak ka ye safar
kitna thaka deta hai mujhko kya tujhe maloom hai?
kya tujhe maloom hai doolhe ka bojh?usko baithane ki zimmedariyan
aur uspar is qadar hassas dil
jo samajh sakta hai is din ke ma ani kya hain doolha ke liye
koye kaisa bhi patakha chodh de pairon me mere
shor se baaje ke mere kaan bhi phat jayein to kya
chaal me apni zara saa farq mai aane na dunga
peeth par baithe hue doolha ki izzat meri izzat
han magar ye bhi khyaal aata hai aksar
mai to har zillat utha kar
apni zimmedariyan poori karunga
aur karta aa raha hun
tu magar
kab is tarah soochega us makhlooq ke bare mein
jo teri amaa me hai......shariq kaifi
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 429