donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* gawahi hashr ke din *
gawahi hashr ke din
tamaam aaza ke saath
hum insaano ki khaali jaib ki bhi maan lee jaaye
to mumkin hai ki beda paar ho jaaye
raza aur sabr ki takeed par
wo sirf aur sirf khali jaib hai insaan ki joo
bahut khulkar khuda se baat kar sakti hai shayad
wohi hai jo
farishton ki likhi seedhi sapaat aamal ki roodaad me bhi
naye kuch rang bhar sakti hai shayad
magar thehro
bahut khushfehm mat ho
suna ye hai
khuda ki jaib upar tak bhari rehti hai har dam
aur kabhi khali nahi hoti
use to donon haathon se lutaana bantna aata hai bas
aaise rawayat hai
yehi to pench hai
wo khud jis tajrbe se door hai
usko nazar me rakhke koi faisla karna use manzoor hoga kya?
abhi kuch dair pehle lag raha tha
ab hamein aaisa nahi lagta
ki khali jaib aur uske dalayal ka koi uspar asar hoga
to matlab ye hua
hum log ab bhi door hain utne hi jannat se
ki jitne ye khayal aane se pehle the....shariq kaifi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326