donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* khamoshi bas khamoshi thi ijazat ab hui hai *
khamoshi bas khamoshi thi ijazat ab hui hai
isharon ko tere padhne ki jurrat ab hui hai
 
ajab lehje me karte the dar o deewar batein
mere ghar ko bhi shayad meri aadat ab hui hai
 
achanak hadbadakar neend se mai jaag utha hun
purana waqiaa hai jispe hairat ab hui hai
 
yehi kamra tha jisme chain se hum jee rahe the
ye tanhaai to itni be murawwat ab hui hai
 
guma hun ya haqeeqat sochne ka waqt kab tha
ye hokar bhi na hone ki musibat ab hui hai
 
bichadna hai hamein ek din ye dono jaante the
faqat humko juda hone ki fursat ab hui hai
 
ajab hai mas alaa apna ajab sharmindgi hai
khafa jis bat par the wo shararat ab hui hai....shariq kaifi
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 385