* Eik cigarette nahi jaib me *
Eik cigarette nahi jaib me
late hone ka matlab
bujhana hai ab beediyan mangkar mujhko apni talab
phir chali
do qadam chalke phir ruk gaye meri chakda si train
kya hua?poonchta hun
cross hai koi kehta hai mujhse
aur mai
phir se ek bar neeche utarkar
tahalne laga
patriyon ke kinare pade pattharon par
badbadata hua
yun to jaldi pahunch ke bhi ghar kam kooi nahi hai
magar isse kya
umr to meri mehdood hai
aur jab umr mehdood hai
koi kaise ghadi ki taraf dekhna chod de
****** |