donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shariq Kaifi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dum laga dhad idhar ko pada tha *
Dum laga dhad idhar ko pada tha
to surkh
thoothni wala sar us taraf
aur wo akhrot bhi
toote daanton ke saath 
paas hi me pade the
jinko gaalon me bharkar
poople muh ko apne hanuman jaisa banata tha kallu
magar koun kallu ko roye
uske hisse ke aansu bhi saare hanuman ji le gaye
jinke make up me tha wo
hanuman ji kat gaye
subh se bas yehi shor hai gaaon me har taraf
raam leela se ghar lout te waqt kal raat ke do baje
hanuman ji kat gaye train se......shariq kaifi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 341