* Ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhane kaa *
Ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhane kaa
zindagii kahe ko hai khwaab hai diivaane kaa
zindagii bhii to pashemaan hai yahaan laake mujhe
Dhuundhtii hai koii hiilaa mere mar jaane kaa
haddiyaan hain kaii liptii huii zanjiron mein
liye jaate hai.n janaazaa tere diivaane kaa
tum ne dekhaa hai kabhii ghar ko badalate hue rang
aao dekho na tamashaa mere ghum_Khaane kaa
ab ise daar pe lejaa ke sulaa de saaqii
yuun behakanaa nahii achchhaa tere diivaane kaa
ham ne chhaanii hai.n bahot dair-o-haram kii galiyaan
kahii.n paayaa na thikaanaa tere diivaane kaa
har nafas umr-e-guzashtaa kii hai mayyat "Fani"
zindagii naam hai mud mud ke jiye jaane kaa.
|