donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shaukat Ali Khan Faani Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhne kaa, *
Ik muammaa hai samajhaane kaa na samajhne kaa, 
zindagii kahe ko hai Khvaab hai diivaane kaa ,
zindagii bhii to pashemaa.N hai yahaa.N laake mujhe, 
Dhuu.NDhatii hai koii hiilaa mere mar jaane kaa, 
haddiyaa.N hai.n kaii lipaTii huii za.njiro.n me.n, 
liye jaate hai.n janaazaa tere diivaane kaa, 
tum ne dekhaa hai kabhii ghar ko badalte hue rang ,
aao dekho na tamashaa mere Ghum_Khaane kaa ,
ab ise daar pe lejaa ke sulaa de saaqii ,
yuu.N behaknaa nahii.n achchhaa tere diivaane kaa ,
ham ne chhaanii hai.n bahot dair-o-haram kii galiyaa.N ,
kahii.n paayaa na Thikaanaa tere diivaane kaa ,
har nafas umr-e-guzashtaa kii hai mayyat "Fani" ,
zindagii naam hai murh murh ke jiye jaane kaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 508