donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shaukat Ali Khan Faani Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Maal-e-soz-e-Gham haa_e! nihaanii dekhte jaao , *
Maal-e-soz-e-Gham haa_e! nihaanii dekhte jaao ,
bha.Dak uThii hai shammaa-e-zi.ndagaanii dekhte jaao ,
chale bhii aao vo hai qabr-e-Fani dekhte jaao, 
tum apne marne vaale kii nishaanii dekhte jaao ,
abhii kyaa hai kisii din Khuu.N rulaayegaa ye Khaamoshii ,
zubaan-e-haal ki jadd-o-bayaanii dekhte jaao ,
Gharuur-e-husn kaa sadqaa ko_ii jaataa hai duniyaa se ,
kisii kii Khaak me.n miltii javaanii dekhte jaao, 
udhar muu.Nh pher kar kyaa zibaah karte ho, idhar dekho! 
merii gardan pe Kha.njar kii ravanii dekhte jaao ,
bahaar-e-zindagii kaa lutf dekhaa hai aur dekhoge ,
kisii kaa aish marg-e-naagahaanii dekhte jaao ,
sune jaate na the tum se mere din raat ke shikave ,
kafan sarkaao merii be-zubaanii dekhte jaao ,
vo uThaa shor-e-maataam aaKharii diidaar-e-mayyat par, 
ab uThaa chaahate hai.n naash-e-Fani dekhte jaao .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 405