donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shaukat Ali Khan Faani Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Karavaa.N guzraa kiyaa ham rahguzar dekhaa kiye *
Karavaa.N guzraa kiyaa ham rahguzar dekhaa kiye ,
har qadam par naqsh-e-paa raahbar dekhaa kiye ,
[rahguzar=path; naqsh-e-paa=footprints; raahbar=guide] 
yaas jab chhaaii ummiide.n haath mal kar rah gaii.n ,
dil kii nabaze.n chhuT gayii.n aur chaaraagar dekhaa kiye ,
[yaas=despair; nabaz=pulse; chaara-gar=healer] 
ruKh merii jaanib nigaah-e-lutf dushman kii taraf ,
yuu.N udhar dekhaa kiye goyaa idhar dekhaa kiye ,
dard mandaan-e-vafaa kii haaye re majabuuriyaa.N ,
dard-e-dil dekhaa na jaataa thaa magar dekhaa kiye ,
tuu kahaa.N thii ai ajal ai naamuraado.n kii muraad ,
marne vaale raah terii umar bhar dekha kiye ,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 291