* Maktab me'n parhi thee jo loghat chhorh di woh wayei'n *
Maktab me'n parhi thee jo loghat chhorh di woh wayei'n
Kahti hai tabiyat ke nahi'n ko bhi likhoo'n nayei'n
Apni to nazar aur thaharti hi nahi kayei'n
Aur us ka ye andaz ke dekha hi hame'n nayei'n
Usne meri darkhast pe bate'n to bahut kayei'n
Mayusi ka aalam thaa mujhe yaad nahie'n rayei'n
Qazi mere masoom tasawwur ka yaqi'n kar!
Allah hai shahid ke woh baitha tha abhi yaei'n
Duniya ka maza thaa tere kuche ke safar me'n
Aaram bahut kam mile taklife'n barhi sayei'n
Garmi ko to bas aarzi samjhe thhe "Shujaa" aap
Ab boliye barsat ki umide'n kaha'n gayei'n
1,Park Lane , Talkatora Park ,
New delhi -110001
|