aata hai sub.h uTh kar terī barabarī ko
kya din lage hai.n dekho khurshid-e-ḳhavari ko
dil marne ka nusḳha pahu.ncha hai ashiqo.n tak
kya koi janta hai is kimiya-garī ko
us tund-khu sanam se milne laga huu.n jab se
har koi janta hai meri dilavari ko
apnī fusu.n-gari se ab ham to haar baiThe
baad-e-saba ye kahna us dilruba pari ko
ab khvab me.n ham us kii surat ko hai.n taraste
ai aarzu hua kya baḳhto.n ki yavari ko
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸