donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sohail Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Talab kia jab uss ne apna khoon de dia usse *
Talab kia jab uss ne apna khoon de dia usse
issi bahane ek zara janoon de dia usse

thither raha tha apni hi decembaroN meiN kab se woh
to maiN ne ja ke apna sara june de dia usse

na de saka maiN uss ke khushk maosamoN ko bargo-baar
to apni aankh ke woh monsoon de dia usse

jisse jahan de dia qarar uss ka le lia
jisse nahi dia hai kuch sakoon de dia usse

bana lia phir uss ne sehre-samri ka ek iram
khuda ne kia nigah bhar fasoon de dia usse

akela kyuN na chaand jamghate ke bawjood ho
ke anjuman beghair harfe-noon de dia usse 


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 294