donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sohail Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh kaon hai jo moqaddar ka khel khelta hai *
Yeh kaon hai jo moqaddar ka khel khelta hai
mujhe pahad ki choti se kyuN dhakelta hai

meri tarah kabhi parwaz kar nahiN sakte
yeh jodtod unhiN ka mujhe ghulelta hai

woh chahta to meri shab bhi jagmaga uThti
ruche-sehar pe magar coaltar undelta hai

jo tujh ko sochooN to roshan naye naye imkaaN
jo tujh ko likhooN to kaghaz bhi jaise phailta hai

yeh shahre-jabr hai yeh khud tumheiN sikha dega
koi khamoshi se har karb kaise jhelta hai

udhar nahi ke irada jidhar tha jane ka
hujoom mujh ko kisi aur simt relta hai

talash jiss ki hai woh shae mile bhi kaise 'sohail'
ke justajoo ko zamana meri nukelta hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335