donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sohail Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Shaam bhi aur intzaar bhi kuch *
Shaam bhi aur intzaar bhi kuch

jaise hota hai pyar-vyar bhi kuch

kia kabhi shab ko din bana paya?
admi ko hai ikhtiar bhi kuch

hum haiN raazi to kia, khafa bhi to kia
kia hai apna yahaN shumar bhi kuch

apni iss haisiat pe itna gharoor
jaise ho gard aur ghubaar bhi kuch

ab khudi hai, na khudsari na janooN
bhool baithe ki tha khumar bhi kuch

kuch ho ab zehno-dil bhaTakte nahi
aur hota hai kia hesaar bhi kuch

har zaroorat faqat badan ki hai
yahi kehta hai ishtehar bhi kuch
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 296