donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Subodh Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sunehraa hii sunehraa waada-e-farda rahaa hoga *
Sunehraa hii sunehraa waada-e-farda rahaa hoga
Qayaas-aaraayi kaa besaakhtaa   lamha  raha hoga
Samandar meiN chunay moti, na taaroN ka jahaaN dekha
Zaroor  iskool   meiN  takh’eel  par  pehra raha hoga
Kahaa thha jisne Tumse “haaN maiN Tum se pyaar karta huN”
Mere andar chhupaa   ek  bedhaDak  ladka  raha hoga.
MaiN  ab  bhi darte darte apne haq kii baat karta hooN
Merii  taaleem  meiN  dar  ka   baRa  hissaa  raha  hoga
Tumhaari bazm se ghussay meiN  uTh  ke  aa gaya thha maiN
Na jaane baad meiN  kis   qism   ka   charchaa  raha hoga
Gaya  hai  chhoR   kar   mehfil  ko  itnee  bedilee  se vo
Ki   baahar  bheeD  mein bhi  waaqaaee tanhaa raha hoga
Voh jisne  mujh ko registaan  meiN  paani  pilaaya thha
Muje lagtaa hai  khud  voh  mehrbaaN pyasaa raha hoga
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 289