donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Subodh Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Guftagu karta tha, gaataa tha, haNsaa karta tha *
Guftagu karta tha, gaataa tha, haNsaa karta tha
Jism   meraa  thaa,  koyee  aur   rahaa  karta tha
AahateiN,  dastakeiN, rah rah ke sunaa karta tha
Dinn meiN sau baar ye darwazaa khulaa karta tha
Pahle voh mere  liye jab bhee duaa  karta tha
Uski aawaaz  meiN  ek  dard  huaa  karta tha
Jiska saaya  mere hamraah  chala khata  hai
Pahle voh khud mere hamraah chalaa karta tha
AasmaaN ab bhi vohi, khaahisheiN ab bhi haiN vohi
Voh magar  par  kahaaN  jin  se maiN uRaa karta tha
Raat ho, din ho, kaRee dhoop ho ya thandi chhaaoN
Har qadam  sar  pe mere  saayaa rahaa  karta tha
Khauf jo  mujh  ko  pareshaan   kiyaa   karte  thay
Un  ko   aksar   nazar-aNdaaz   kiyaa   kkarta tha
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 305