donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Subodh Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri aaNkhoN ke aage aaeena hai, maiN kahaaN hooN? *
Meri aaNkhoN ke aage aaeena hai, maiN kahaaN hooN?
Faqat saaya hi saaya  rah  gaya  hai, maiN khaaN hooN?
PaRosi, dost,  rishte-daar  aur  kuchh  ajnabee   haiN
Mere aaNgan meiN aisa jamghaTa hai, maiN kahaaN hooN?
Na jaane kab se maiN duniyaa meiN kya kya dhooNdta thaa
Wajood ab mera mujh ko dhooNdta hai, maiN kahaaN hooN?
Vo   meree shakl  aur kapRe  pehan  kar  ghoomtaa  hai
JahaaN miltaa hai, mujhse poochhta hai, maiN kahaaN hooN?
Ye bastee hai naye chehroN ki bastee, aur yahaaN par
Faqat bahroopiyoN  ka   silsilaa  hai,  maiN  kahaaN  hooN?
Milaa “Saaqi”  se pyaasoN  ko bulawaa, aur   sunaa  hai
Sar-e-fehrist    koee    paarsaa   hai, maiN kahaaN hooN?
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 319