donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Subodh Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KhamoshiyoN meiN hai saNgeeT jaisee jaadugaree *
KhamoshiyoN  meiN  hai  saNgeeT  jaisee  jaadugaree
Kabhee  khayaal,   kabhee   DaaDra,  kabhee  thumree
VahaaN   na   kaam  karegi  khiraD   kee   kaareegaree
JahaaN   hawaa   meiN   ghulaa  ho  tilism-e-bekhabree
Thee afra-tafri bahut dil ki anjuman meiN magar
Na tumne waada nibhhaaya na bheji khushkhabari
MaiN   dhoondtaa hee rahaa us ko jo mujhee mein hai
Ye mera  zauQ-e-nazaaraa,   ye  meree   kamnazaree
Abhi   khamosh  hai   paani, hawaa bhi chup hai magar
Ubaal    aayegaa,    uphnegee    aur    besabaree
Naye  paDaao,  naye  shehr  aur  naye   sehraa
Hazaar    tajrube paaye  ba-raahe- dar-badaree
Vo  log   Qaus-o-Qazah se bhee  khauf  khaayeiNge
Ki  jinn ki  sirf   guphaaoN   meiN  zinDagi   guzree
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 286