|
* Dhal gayaa aafataab ai saaqii *
Dhal gayaa aafataab ai saaqii,
laa pilaa de sharaab ai saaqii,
yaa suraahii lagaa mere muu.Nh se
yaa ulaT de naqaab ai saaqii ,
maikadaa chho.D kar kahaa.N jaauu.N
hai zamaanaa Kharaab ai saaqii,
jaam bhar de gunaahagaaro.n ke
ye bhii hai ik savaab ai saaqii ,
aaj piine de aur piine de,
kal kare.nge hisaab ai saaqii .
|
|