|
* Saamane hai jo use log buraa kahate hai.n *
Saamane hai jo use log buraa kahate hai.n,
jisako dekhaa hii nahii.n usako Khudaa kahate hai.n,
zindagii ko bhii silaa kahate hai.n kahanevaale,
jiinevaale to gunaaho.n kii sazaa kahate hai.n ,
faasale umr ke kuchh aur ba.Daa detii hai,
jaane kyuu.N log use phir bhii davaa kahate hai.n,
cha.nd maasuum se patto.n kaa lahuu hai "Fakir",
jisako mahabuub ke haatho.n kii hinaa kahate hai.n.
|
|