donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Suroor Sajid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phuul kyuuN ye sochegaa KhushbuuoN kaa kyaa hogaa *
Phuul kyuuN ye sochegaa KhushbuuoN kaa kyaa hogaa,
tum ko is se kyaa matlab diljaloN kaa kyaa hogaa,
un ke baare kyaa socheN daar jinkii manzil hai,
Ghaur is pe karnaa hai buz-diloN kaa kyaa hogaa,
(daar : gallows)
jin ko dekhiye saahab hai havas bulandii kii
ko’ii to zaraa soche pastiiyoN kaa kyaa hogaa,
tum badalte rahte ho roz ek nayaa chehraa,
kuch Khabar bhii hai pyaare aainoN kaa kyaa hogaa,
tum ko zid hai dariyaa ko ret meN badalne kii,
naa-KhudaaoN batlaao kashtiyoN kaa kyaa hogaa,
(naa-Khudaa : commander of the ship)
aap kam se kam “Sajid” fan kii aarzuu rakhiye,
sher sab kaheNge to shairoN kaa kyaa hogaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 282