donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Taasir Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Uthkar chale hain woh jab kabhi hamaare pehloo se *
Uthkar chale hain woh jab kabhi hamaare pehloo se;
Dur ho gaya hai  dil  phir jeene   ki   aarzoo se;

Dard  ne asar chhod diya,hayaat muskuraa utthi,
Hue hain  rubaroo  jab bhi  tumhari guftugoo se;

Manand-e-gul lehraa rahe hain zakhm shaakh-e-hayaat par,
Aao inhe mehkaa do tum apne badan ki khushboo se;

Baat chali to phir kitne hi raaz ayaan hote  gaye,
Sekdon fasaane nikle ek mukhtasar si guftugoo se;

Ahal-e-jahaan ne zulm kiya hume naam-e-sharaafat dekar,
Ek ghurbat ke siva kya paaya hai humne achi aabroo se;

Na shakl se na libaas se na dulat se na shurat se,
'Taasir' ne paayi hai pehchhan apni zabaan-e-urdoo se;
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 288