donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Taasir Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aaj ke is daur me dhunde se bhi insaan nahin milta, *
Aaj ke is daur me dhunde se bhi insaan nahin milta,
qaatilon ke hujum mil jate hain ek maherbaan nahin milta:

bas gai hai rooh-e-shaitani jism-e-insaani me,
har jagah insaan hai magar phir bhi insaan nahin milta:

ek arsa hua khuda ne bandh kardi guftugoo bashar se,
ek hi mila hai ab tak ke dusra qurran nahin milta:

hai taveel tamannaon ka safar aur tang hai umar;
hai kai humsafar saath lekin koi nighebaan nahin milta:

hai majbur warna rehta na kabhi is duniya me "taasir"
bohot talaash kiya magar koi dusra jahaan nahin milata;
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335