* Kabhi meri khamoshiyon ki zabaan samjo; *
Kabhi meri khamoshiyon ki zabaan samjo;
kahi na gai hoton se woh dastaan samjo;
mera hasta hua chehra dekhne walo zara;
uth raha hai aakhon se woh dhuaan samjo;
mere baare me mera khuda hi behtar jane;
tum chaho muje qaatil ya maherbaan samjo;
ubal raha hai samandar,simat rahi hai zameen;
khuda leta hai kaise kaise imtihaan samjo;
******* |