* Kisne aag lagaa di mere is chaman me; *
Kisne aag lagaa di mere is chaman me;
kyun daagh-e-khun hai har kisi ke perhan me;
kyun sehmi sehme si har shea nazar aati hai;
kyun kayaal-e-aman aata nahin kisi zehan me;
kyun har subah akhbaar yeh khabar le aata hai;
aag lag gai thi kal ek aur kisi nasheman me;
kyun maasum chehre par khauf ki parchaiyaan hai;
kyun apno ke khun ki laqeeren hai daaman me;
kyun bus kyun?......
Poet: taasir siddiqui
|