donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Taasir Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apna woh haal hai jo humse bataaya na gaya; *
Apna woh haal hai jo humse bataaya na gaya;
Chaah kar bhi hum se muskuraaya na gaya;

Hum us charaagh ki tarah jalte rahen shab-bhar,
Sehar hone par bhi jise bhujaaya na gaya;

Uss ke rooth ne ki har baar ek nayi adaa thi,
Hum jo  roothe phir hume manaaya na gaya;

Sekdon aehsaan dil par lekar jab hum chale,
Kaadhon pe phir yeh sar uthaaya na gaya;

Aakhon me jab ashk ka dariya hi na raha,
Dil me phir kisi umeed ko sajaaya na gaya;
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359