|
* ajab tamashe dikhlaati tu bhi ae zindagi hai; *
ajab tamashe dikhlaati tu bhi ae zindagi hai;
kabhi gham-e-ruksati to kabhi aane ki khushi hai;
ye hi nizaam-e-duniya hai,ye hi uski khudaai hai,
gham-o-khushi ke patwaar se chali zist ki kashti hai;
puch gaye sab aansu har chasm muskuraa rahi rahi,
kaisi raat,kaisa andhera zameen par utari chandni hai;
har ek lab aaj chalka raha hai tabussum ki sharaab,
har dil aaj ban ke mahtaab luta raha roshani hai;
kisi ke jaane ke baais ek kala baadal sa chaya tha,
kisi ke aane ki khabar ne di muasam ko dilkashi hai;
|
|