donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Taasir Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Azaad panchi ka kabhi bhi ek daal par baseraa nahin hota; *
Azaad panchi ka kabhi bhi ek daal par baseraa nahin hota;
jo muskuraate rehte hain unki raah me andheraa nahin hota;

Raston ki mushkilein khud manzil ka pata bata deti hain,
jis musafir ke qadmon ko kabhi   bhi  thaknaa nahin hota;

kabhi gham,kabhi khushi hai humsafar raah-e-hayyat mein,
tanhai ek bharam hai, haqeeqat me koi tanhaa nahin hota;

jo pehlu me dil hai dar asal wohi maqaam-e-khuda hai,
mandir-masjid ke  deewaaron mein khuda nahin hota;

Ajab duniya ka dastoor hai,ajab yahaan ke rivaaj,
hasi me sab apne hain,gham me koi apnaa nahin hota;
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 391