donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Taasir Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main rokta hun to yeh jazbaat me dhal jate hain; *
Main rokta hun to yeh jazbaat me dhal jate hain;
kisi bhi haal me aansu  mere   nikal jate hain;

Main ek se bartaav ki umeed rakhta hun sabse;
aur log yahan mausam ki tarah  badal jate hain;

Ab kya bataaun haal-e-dard tumhe mere mehboob;
dekhar tumhari surat zakhm mere behal jate hain;

Yaadon ke behkaave ki shiddat to zara dekhiye;
jahaan se thukhraye gaye wahin sar ke bal jate hain;

khushi ka peecha aur gham mitaane ke jatan ;
issi kashmakash me zindagi ke din nikal jate hain;

Phir mohabbat ka khayaal aaya hai is dil me;
magar dekhkar taasir ka haal hum sambhal jate hain
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 343