donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Tanwir Phool
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tiraa hi Zikr yeh fasl-e-bahaar karti hai *
Hamd

Tiraa hi Zikr yeh fasl-e-bahaar karti hai
Har ik chaman ki fazaa mushk baar karti hai
Tiri BaRaa'ee kaa idraak pattay pattay ko
Guhar yaqeen kay , shabnam nisaar karti hai
MaiN daikhtaa hooN Tujhay qalb ki nigaahoN say
'Miri nazar Tiray Parday say pyaar karti hai'
Hai Tu Sami-o-Baseer aur hai Mujeeb bhi Tu
Tiray Karam kaa du'aa intizaar karti hai
Hamaisha daikha falak nay hai yeh Tiri makhlooq
Tawaaf K'aabay kaa parwaana waar karti hai
Jo sar jhukaata hai Darbaar maiN Tiray, Maulaa !
Tiri Tawajjuh usay zee waqaar karti hai
Bahaata ashk-e-nidaamat hooN sar nigooN ho kar
Miri khataa jo mujhay be-qaraar karti hai
Hafeez-o-Haafiz-o-Naasir ki ho Nazar jin par
Kab un say koi balaa aaNkhaiN chaar karti hai 
ZabaaN pa Phool kee phir keoN na ho Sana Teree
Tiri hi Hamd chaman maiN hazaar karti hai

**************Tanwir Phool**************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372