donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Targheeb Buland
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hamare haal pe dil meharba'n us ka tha *
Hamare haal pe dil meharba'n us ka tha
Karam thaa yeh ke faqat imtahan uska tha

Har aik saa'ns me'n us ke badan ki khushboo thee
Har aik zarrah-e- dil tarjuman us ka thaa

Laga raha tha mai'n ha'ns ha'ns ke aag jis ghar ko
Mujhe khabar na thee woh bhi makan us ka thaa

Lahoo lahan thee har ik qadam pe kitne bashar
Yeh kaisa shahar me'n amn-o- amaan kaisa thaa

Yeh kayenaat  bhi rakhti na thee khud apna wojood
Tamam dehr me'n nam-o- nishan us ka thaa

Buland apne liye ham jaha'n me'n keya karte
Zami'n us ki thee aur aasman us ka thaa

				Telemarks Gade-33, 2. th, 2300,
				Compenhagen S, Denmark
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 430