donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Tariq Mateen
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gosha Nashee'n hai'n, anjuman aara nahii hai'n ham *
Gosha Nashee'n hai'n, anjuman aara nahii hai'n ham
lekin yeh mo'ajzah hai ke, tanha nahii hai'n ham

jab se mili hai daulate arfano aagahii
duniya mei'n rah ke shamil duniya nahii hai'n ham

mushkil nahii hai dosto'n taskheer kainaat
afsos bas isi ka hai yakjaa nahii hai'n ham

farda ka khawb waqt kii aawaz nahii hai'n ham
ek yaadgaare ahad guzishta nahii hai'n ham

hasil hai ham ko liz'zate tauba khata ke baad
behtar hai aadmi hai'n farishta nahii hai'n ham

shaadab hai hamee se tera gulshane wajood
dariya hai'n jaane aarzoo, sahra nahii hai'n ham

'Tariq Mateen' yo'n mili tauqeer khak mei'n
ho kar bhii is jahan mei'n goya nahii hai'n ham
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 385