donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Usman Qaiser
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hai bekaar ummid amn-o-amaa’n ki ,yahan shar pasndo’n ke aise dharhe hai’n *
Ghazal numa

Hai bekaar ummid amn-o-amaa’n ki ,yahan shar pasndo’n ke aise dharhe hai’n, 
Jo har aman ki raah roke kharhe hai’n. 
Wo insaa’n to door aadmee bhi nahii hai ,shararat se jiski jahane chaman ke, 
Dar-o-baam par khuu’n ke chhi’nte parhe hai’n. 
Kabhi khatam hogi na aise me’n
 ranjish , khule dil se aapas me’n milte nahi’n hum, 
Udhar wo urhe hai’n idhar hum urh.e hain 
Koi khanda lab hai’n koi aabdida,hai tan par kisi ke lebase dareeda,
Kisi ki qaba me’n sitare jurhe hai’n 
Hai aazad rasmo’n ki zanjir se too, nishate zamana ho tujh ko mubark 
Mere pauo’n me’n zaabto’n ke karhe hai’n. 
Sabhi kishtiya’n le ke us paar pahunche ,bhala paar dariya kare’n hum to kaise, 
Hamare liye sirf kachche gharhe hai’n. 
Kaha’n mai’n bichhayu’n besate sadaqat ,kaha’n haq parastee ka charcha karoo’n mai’n .
Alam jhoot ke har qadam par gire hai’n 
Gharibee moqaddar me’n likhi hai to kya, khuda ka yeh ehsan “Qaisar”   bahut hai 
Kushadah dilo’n se yeh dil ke barhe hai’n. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363