* Hum rah mein phool bichaye hote *
Hum rah mein phool bichaye hote
Kante na kabh paon mein aaye hote
Is shahar ki galiyon mein charaghan hota
Gar khud na diye ghar ke bujhaye hote
Mazi mein isse gar sambhalta aanchal
Tu aaj is tuar kyun sisakta aanchal
Usne samjha nahin tqaddas iska
Varna gul ki tarha mehakta aanchal
Pina chaho to jaam bhar bhar kar dun
pitesehra ko samandar kar dun
Rando ek bar azmakar dekho
mai kya hai apni jaan nichhavar kar dun
Kabse hai aman ka pyasa manzar
Har pal dasta hai rooh farma manzar
Isse pehle uthale jag se mujh ko
Yaa rab dekha na jaye aisa manzar
Jab pyaar ke sanche mein voh dhal jata hai
Phir jine ka andaaz badal jata hai
Insan to insan yahan ai qaisar
Patthar bhi mohabbat se pighak jata hai |