|
* Saamna aaj un se hona hai, *
Kuch na kuch to zaroor hona hai
Saamna aaj un se hona hai,
Torho phainko rakkho karo kuch bhi,
Dil hamara hai kya khilona hai,
Zindgi aur maut ka matlab,
Tum ko pana hai tum ko khona hai,
Itana darna bhi kya hai dunya se,
Jo bhi hona hai woh to hona hai,
Uth ke mahfil se mat chale jana,
Tum se roshan ye kona kona hai.
|
|