donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mere Islam ko apna mazhab to tasleem tum karte ho! *
Mere Islam ko apna mazhab to tasleem tum karte ho!
Koi kahe kuch mere Nabi ko, to us se tum ladte ho!
Par jhoot bolte ho tum jitna bhi tum bol sakte ho!
Aur ghalt karte ho tum jab tum sahi tol sakte ho!

Tum Musalmaan to ho lekin, Tum aisa kyun karte ho?
Nabi ko chahne wale, uske kehne pe amal karte ho?

Badon ki izzat kaise karni hei, zara nahi jaante tum!
Aurat ka rutba kitna hei azeem, ye nahi maante tum!
Tum apna saara din momin ki tarah to guzaarte nahin!
Apni raaton ko bhi tahajud se kabhi sanwarte nahin!

Tum Musalmaan to ho lekin, Tum aisa kyun karte ho?
Nabi ko chahne wale, uske kehne pe amal karte ho?

Izzat Nabi ki WAKAS, agar sach mein karwana jaante tum
Phir zindagi mein unko apne, kuch aise hi to utaarte tum
Ke jab koi bhi tumhein dekhta, kehta “Wah ye kya insaan hei…”
Sunah tha jaisa iske Nabi ka hum ne, ye waisa hi Musalmaan hei!”

Tum Musalmaan to ho lekin, Tum aisa kyun karte ho?
Nabi ko chahne wale, uske kehne pe amal karte ho?
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 414