donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kal raat meine ajeeb sa ik sapna dekha tha *
Kal raat meine ajeeb sa ik sapna dekha tha 
Teri aankh se ansoo nikalta apna dekha tha 

Tum kehti ja rahi thi,mujhe kuch pata nahi hei 
Jo kuch hua hei ab tak, ye meri hata nahi hei 

Ankhein tumhari us sapne mein, aise lag rahin thi 
Kisi guzre hue ik pal ka jaise rasta tak rahin thi 

Chehra yun tumhara dekhkar, kaise ansoo rok pata 
Kaise kate hein meine raat din,kaise tumhe batata 

Tum phir se keh rahi thi, mujhe batein wo sab purani 
Yun majboor kar rahi thi, ke karoon poori wo kahani 

Jis kahani mein sirf tumko,mein dunya tha apni maana 
Jis mein apne jeene ka maqsad, tha tumhi ko jaana 

Tum ye keh rahi thi ke tumko, ab meri yaad aa rahi hei 
Sache pyar ki kadar kya hoti hei,zindagi sikha rahi hei 

Mujhe muaf karna mein abh kabhi bhi, wapas na laut paonga 
Jin par tum nimak jhadhak sako, un zakhmon ko na dikhaonga
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 311