donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab mera Allah de, to hei milta *
Jab mera Allah de, to hei milta
Ho wo Izzat ho Shohrat ya daulat
Uski marzi na ho, to dunya sari
Kuch bhi tum ko, na de sake gi

Koi aisi jagah zara tum dhoondo
Aur mile tumhe to mujhe batana
Ke jahan Allah na wo dekh paye
Jo tum chahte ho, uss’se chupana

Uski kaun kaun si hei naimat
Jisko jutla ke chain ho paate?
Usne ye zindagi tumhe hei bakshi!
Uske khazaano se hi tum ho khaate!

Dunya ki baagh dhord mein dekho
Apne Rab ko bhool na tum jaana
Yahan do chaar zindagi ke din hein
Phir wapis ussi ke paas hei jaana

Zara gehrai mein jaa ke socho
Abhi tham jayen jo teri sansein
Kya phir wapis tum aa sako ge?
Khud ko kya tum utha sako ge?

Ye roz raat ko sona tera
Aur rab ka tumhe phir jagana
Bilkul aise hi usne tumko
Ik din hashr mein hei uthana

Kya kaho ge uss’se ja karKe
mere rab mujhe muaf karna
Mein zindagi mein tha aisa khoya
Na padh paya namaz muaf karna

Mein tha jaanta ke tu hei malik
Par meri majboorian thi kaafi
Mein dunya ko khush karne mein
Laga hua tha mujhe muaf karna

Jo naimatein thi tune bakhshi
Unko istimaal to tha mein karta
Par un naimaton ke badle phir bhi
Tera shukr nahi tha ada main karta

Mujhe iss baat ki bhi khabar thi
Ke meine tere paas hi hei aana
Par meri majboori ko bhi samjho
Ek tarf tu, tha ek taraf zamana

Mein zamane ko sath le ke chalta
To hoti thi, na-farmaani teri
Jo chalta mein tere kahe par!
To hoti thi jag-hasaai meri

Jab tu apne Allah se, ye kahega
Kya sharm se na hoga pani pani?
Ke jiss dunya ke liye to tha jeeta
Wo tere kisi kaam nahi hei aani?

Waqt hei “WAKAS”, zara sambhal ja
Marne ke baad kya wapis aa payega?
Janaat milegi ya hoga eendhan-e-dosakh
Naama-e-aamaal tera us din bataega
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 330