|
* Kya tumhe yaad hei wo din, jab meri yaad mein ansoo tum yun bahati thi Kya tumhe yaad hei wo din, jab meri yaad mein ansoo tum yun bahati thi *
Kya tumhe yaad hei wo din, jab meri yaad mein ansoo tum yun bahati thi
Mujhe tumne naraaz jab bhi ho kya, khudh ko muaf na tum kar paati thi
Kya tumhe yaad hei wo din, dono batein pyar ki, hum kya yun karte the
Dunya kuch bhi kahe, hoti fiqar na thi, Kisi se bhi na hum to darte the
Kya tumhe yaad hei wo din, jab honton pe hoti thi, bass yehi ik baat
Kabhi ik duje ko, hum akela chodenge nahi, chahe din ho ya ho raat
Kya tumhe yaad hei wo din, tumhe apnon se, kuch aisa khauf jab aata tha
Tumhare roothe hue, chehre pe hansi ki lehar, mein hi to le kar aata tha
Kya tumhe yaad hei wo din, jab tumne kaha tha, ye pyar kabhi bhool na jana tum
Chahe kuch bhi ho, mujhe chodna nahin, kisi aur ko zindagi mein na lana tum
Kya tumhe yaad hei wo din, tumhe jeevan mein, ilawa mere koi na bhata tha
Hum ik duje ke liye bane hi nahi, kabhi ye khayal, bhi zehan mein na aata tha
Kya tumhe yaad hei wo din, ik duje ka gham, kuch isstarah se hum sehte the
Dil ka har dukh, aur har ik raaz, bagheir soche ik duje ko hi to kehte the
Kya tumhe yaad hei wo din, meri baaton ko tum sun sun ke kabhi na thakti thi
Jab sapnon ke jahan mein kho jati thi, bass mera hi to chehra tum takti thi
Kya tumhe yaad hei wo din, jab meine apna sab kuch, tumhare liye hi cho.dha tha
Bhula ke apnon ko, tumhe apna banaya yun, apni zindagi ka rukh aisa mod.dha tha
Kya tumhe yaad hei wo din, jab khushian qareeb thi,aur dono ek hone wale the
Kash taqdeer pehle se hi ye bata deti, ke humare khawab sab yun sone wale the
Lagta hei tumhe shaid kuch bhi yaad nahi, hota to tum ye bhi jaan leti
Har koi pyar mein itna na chahe ga, iss baat ko dil se tum maan leti
Jiss mod pe doosre,cho.dh chale jate hein, meine wafa ki har hadd ko paar kya
Tumhari bewafai par, bhi meine kuch na kaha, apni khushi ko tum par waar dya
Mein to muaf tumhe karonga nahi, par kya tum khudh ko muaf kar paogi?
Tumne itna pyar ganwa kar kya paaya hei, kya keh ke khudh ko behlaogi
Kab tak apne zameer se lado gi tum, kya dil mein tumhare koi jazbaat nahi
Sath khushion mein tumhare sab honge, hoga ghamon mein koi bhi saath nahi
|
|