donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tasawur agar karna hei ke, agar Maa hi na ho *
Tasawur agar karna hei ke, agar Maa hi na ho
Ik pal socho sar pe tere, jo aasmaan hi na ho

Kaisi tumhari shohrat, aur kiss kaam ki ye daulat
Jo tumhare hisse apni Maa ki, koi dua hi na ho

Ik Maa hei wo hasti ke jab tum ho mushkilon mein
Ho sakta nahi ke rooh uski, pareshan hi na ho

Jo Maa ka hei dil dukhaate, kehna unhe WAKAS
Ye na ho ke jab tum sambhlo, tab Maa hi na ho

Kabhi sochta hoon mein, ke tab kaisa hota

Kabhi sochta hoon mein, ke tab kaisa hota
Ke jo sab kuch, meri soch ke jaisa hota

Tum mujh jaise hote, mein tum jaisa hota
Diwaar beech mein lagaye na ye paisa hota

Hum muskura ke jo chaahte khareed laate
Har gareeb bhi ek raees shakhs jaisa hota

Har koi milta ek duje se kholoos ke sath
Aur uska dil bhi saaf sheeshe jaisa hota

Koi marne deta na, kisi ko bhook aur pyaas se
Hum sabke dil mein Khauf Khuda ka aisa hota

Koi aur badle na badle, ye baad ki baat hei
Tu dua kar WAKAS kash tu bhi aisa hota?
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 338