donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kisi ki bhi benoor ankhon ko *
Kisi ki bhi benoor ankhon ko
Mein jab kabhi bhi takta hoon!
Ansoo ban kar mein khud hi
Apni ankhon se tapakta hoon!

Kya karta mein ankhein meri bhi
Noor se bhari kabhi hoti na?
Bhala karta kya mein kehta kya
Jo chamakte kabhi ye moti na?

Khudh kar pata na kuch bhi mein
Jab tak sath na koi sahara hota!
Meri inn sochon se wabista qudrat ka
Kabhi koi ek bhi na phir nazara hota!

Mein mausam ke roop na dekh pata kabhi
Bass tasawur mein hi apne utar leta
Shiddat ki dhoop mein bhi apni soch se
Andhere mein hi sara din guzaar leta

Kisi shakhs ko tab chehre se
Kabhi bhi na pehchaan paata mein
Mere bare mein uski soch hei kya
Uske lehje se hi jaan jaata mein

Har ik awaz ke sath ik chehre ko
Kuch iss adda se jod deta mein
Jaisa lagta wo mujhe apni baton se
Waise hi naqsh uske maud deta mein

Mein rab ke banaye hue chehron ko
Kabhi bhi bura bala na keh pata
Kitna gunah hota hei inn baton se
Inn baton se mein bach ke reh jata

Tareeq raat mein apni sochon se
Har qism ke rang bharta mein
Jo dekh mein pata na dunya ko
To phir bhala kya karta mein?

Jo Khuda chahe to in ankhon ko
Abhi issi waqt benoor kar jaye
Koi hei jo rakhta quwat ho..
Jo noor ankhon mein bhar paye?

Ye naimat tumhe di hei Allah ne
To WAKAS zara haq to iska ada karo
Dunya ke kamon se fursat le kar ab
Zara Quran-e-paak bhi tum pada karo!

Ek Maa ke hone ya na hone se

Ek Maa ke hone ya na hone se
Bohat badha farq padhta hei
Uski duaon se hi to mera Rab
Taqdeeron ko badalta hei

Socho ke Nabi ka, huqm hei ye
Maa ki baat suno, usse pyar karo
Sawab hajj ka jo paana tum chaho
Tu apni Maa ka tum deedaar karo
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 311