donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khawab mein Maa ne aakar, mujhse ye sawaal kiya *
Khawab mein Maa ne aakar, mujhse ye sawaal kiya
Mere jaane ke baad tumne apna, ye kya haal kiya?

Yahan to jo bhi hei aata, wo aata hei chale jaane ke liye
Jo karo Allah ke liye karo beta, na ke zamaane ke liye

Mere hote hue jo chehre pe khushi tumhare hoti thi
Usko dekh dekh kar mein khushi ke aansoo roti thi

Na rahi mein to kya dunya mein koi raha apna nahin?
Dunya kadwi haqeeqat hei beta, ye koi sapna nahin

Kya hua jo mein na rahi, khushian tumhari baant’ne ke liye
Tumhari choti choti si ghaltion pe, tumhe daant’ne ke liye

Ab tumhe khud se hi ik nayi zindagi ki taraf aana hoga
Tumhare aamaal honge ik taraf, ik taraf zamana hoga

Umeedein jinse thi mujhe ke ghar ko mere wo bachayenge
Na pata tha ke lafzoon ki aag se, wo khud usse jalaayenge

Sab wo jaante hein, ke tum mere liye kya maani rakhte the
Taqleef ho na mujhe, tum humesha ye khayaal rakhte the

Dar’guzar kar do WAKAS har baat ko jo dil dukhaati hei
Asal rishton ki shidat to bass, baad maut hi nazar aati hei
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342