donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Iss jahan mein jo ghamon se tumhe bacha legi *
Iss jahan mein jo ghamon se tumhe bacha legi
Dil se nikli dua hei jo tumhe tumhari maa degi

Jahan ka har dukh, tum apne seene mein jo bhar lo
Uski ik muskaan dekhna, har dukh ko tere mita degi

Agar dunya ki iss beedh mein, tum khone se yun lag jao
Tumhe dhoondte hue maa teri, khudko bhi bhula degi

Tum kabhi ghuse mein akar, uska dil tod bhi jao dekhna
Wo to ik farishte ki tarah , phir bhi tumhe dua degi

Meri itni si iltija hei ke, kabhi maa ko na tum rulana
Ke rab se jo dua karoge, wo asar hi apna ganwa degi

Har shakhs iss jahan mein matlab parast hei hota
Bina matlab ke ho muhabat, ik maa tumhe sikha degi

Maa ki awaz sun kar kuch log, ansuni si kar dete hein
Khawab mein maa ko pukarna, teri awaz use jaga degi

Tujhe janat mein jane ka shauq hei to jaan le Wakas
Maa ki khidmat karne ki aadat, aakhrat teri bana degi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 310