donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo mujhe yaad hei ae maa meri *
Jo mujhe yaad hei ae maa meri
Un dino ka hisaab to de sakta nahi
To jo mujhe yaad nahi un dino ka qarz
Phir kaise mein yun chuka paonga

Khuda se hei iltija tujhe wo sehatyaab kare
Ke mera sab kuch hi hei tumse yun juda hua
Tumhe dekhna chahoon aur dekh paon na
Kabhi aisa soch bhi nahi mein paonga

Abhi to jab yun thandi si hawa chale
Razai liye hathon mein chala aata hoon
Ab tum hi kaho ke phir inhi hathon se
Kaise zameen mein utar main paonga

Jo acha mujh mein hei tujh se seekha hei
Tera shukar na karon to phir kya karoon?
Tune jo bhi kiya meri hi khushi ke liye kiya
Wo sab kaise bhala mein bhula paonga

Har baat jo pareshan mujhe karti hei
Uska tujh pe dohra asar yun hota hei
Jo dil se sune meri baaton ko
Tere jaisi mein kahan se laonga

Hairangi hoti hei logon ko dekh kar
Jo maa ka khayal nahi rakh paate hein
Wo shayad samajte hoon maa phir mil jaygi
Par yr soch mein kabhi na samaj paonga

Meri zindagi ka maqsad ab to hei yehi
Jo bhi acha kaam karoon tujhe ajar mile
Jo hei nabi ka farman ik maa ke bare mein
Uski zinda misaaal mein dekhna ban jaonga
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 325