donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wakas Mir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yaad hei maa jab meine kaha tha ye *
Yaad hei maa jab meine kaha tha ye
Ke thaam lena jab aasman pe jayenge
muskura ke tum ne mujhse ye tha kaha
Dono ik duje ko kahan pehchan payenge

Ye kaise aur kyunkar ab ho sakta hei
Jab tera dil mere dard pe ro sakta hei

Mere kisi bhi gham ka jo tu sunte hi
Hath utha ke khuda se bhi lad jati thi
Jab tak mein sukoon se na so paon
Tujhe neend hi kahan phir aati thi

Mujhe apne khuda se koi bhi gila nahi
Uski har baat pe sabr mujhe karna hei
Usne dunya mein di hei jis ko zindagi
Har us shai ko lazman ik din marna hei

Par kaash tum kuch dair aur ruk jaati
Tumhe chein milta, aur kuch sukh paati
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 314